poshida sab ki aankh se dil ki kitab rakh
poshīda sab kī aañkh se dil kī kitāb rakh
mumkin ho gar to zaḳhm ke badle gulāb rakh
ehsān karke bhuul jā ehsān mat jatā
kis kis ko kyā diyā hai kabhī mat hisāb rakh
sehn-e-chaman ke ġhunchoñ meñ taqsīm kar ḳhushī
shabnam kī tarah qalb kī āñkheñ pur-āb rakh
dīmak-zada kutub se na almāriyāñ sajā
paḌhne ko tajrabāt kī zinda kitāb rakh
nākāmiyoñ kī dhuup meñ kaTtī hai zindagī
dil ke sukūn ke liye āñkhoñ meñ ḳhvāb rakh
har zarra ko chamakne kā andāz baḳhsh de
har sub.h-e-nau ke vāste ik āftāb rakh
'shāhīn' zindagī ko banānā ho kāmyāb
ḳhisht-e-savāl ke liye sang-e-javāb rakh
poshida sab ki aankh se dil ki kitab rakh
mumkin ho gar to zaKHm ke badle gulab rakh
ehsan karke bhul ja ehsan mat jata
kis kis ko kya diya hai kabhi mat hisab rakh
sehn-e-chaman ke ghunchon mein taqsim kar KHushi
shabnam ki tarah qalb ki aankhen pur-ab rakh
dimak-zada kutub se na almariyan saja
paDhne ko tajrabaat ki zinda kitab rakh
nakaamiyon ki dhup mein kaTti hai zindagi
dil ke sukun ke liye aankhon mein KHwab rakh
har zarra ko chamakne ka andaz baKHsh de
har subh-e-nau ke waste ek aaftab rakh
'shahin' zindagi ko banana ho kaamyab
KHisht-e-sawal ke liye sang-e-jawab rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.