Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

poshida tha jo sab pe ayan kyun nahin hua

Jafar Sahni

poshida tha jo sab pe ayan kyun nahin hua

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    Interesting Fact

    (Mubaihsa, July-December 2006)

    poshīda thā jo sab pe ayaañ kyuuñ nahīñ huā

    haq meñ hamāre nek gumāñ kyuuñ nahīñ huā

    sarsabz ho ke dil-nashīñ ban jaatī ye zamīñ

    aisā gudāz sail-e-ravāñ kyuuñ nahīñ huā

    naġhmoñ ke darmiyān fasāna thā pur-kashish

    dilkash fazā meñ raqs javāñ kyuuñ nahīñ huā

    kal tak galī hamārī daraḳhshāñ na ho sakī

    ab to batāo aisā miyāñ kyuuñ nahīñ huā

    shān-o-shikoh meñ vo hamesha thā tāza-dam

    ghar fazā meñ jazb makāñ kyuuñ nahīñ huā

    jaltā rahā hamārā zamāna chahār-sū

    sho.aloñ ke beach us jahāñ kyuuñ nahīñ huā

    chehra khulā un nazar ke qarīb thā

    pesh-e-nigāh dard-e-nihāñ kyuuñ nahīñ huā

    hairat-zada thī aql hamārī ye soch kar

    jo kuchh vahāñ huā thā yahāñ kyuuñ nahīñ huā

    hamd-o-sanā duā se sañvārā gayā thā shahr

    'ja.afar' magar vo jā-e-amāñ kyuuñ nahīñ huā

    poshida tha jo sab pe ayan kyun nahin hua

    haq mein hamare nek guman kyun nahin hua

    sarsabz ho ke dil-nashin ban jati ye zamin

    aisa gudaz sail-e-rawan kyun nahin hua

    naghmon ke darmiyan fasana tha pur-kashish

    dilkash faza mein raqs jawan kyun nahin hua

    kal tak gali hamari daraKHshan na ho saki

    ab to batao aisa miyan kyun nahin hua

    shan-o-shikoh mein wo hamesha tha taza-dam

    ghar ki faza mein jazb makan kyun nahin hua

    jalta raha hamara zamana chahaar-su

    shoalon ke beach us ka jahan kyun nahin hua

    chehra khula sa un ki nazar ke qarib tha

    pesh-e-nigah dard-e-nihan kyun nahin hua

    hairat-zada thi aql hamari ye soch kar

    jo kuchh wahan hua tha yahan kyun nahin hua

    hamd-o-sana dua se sanwara gaya tha shahr

    'jafar' magar wo ja-e-aman kyun nahin hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now