prem ke hum git ga kar kya karenge
prem ke ham giit gā kar kyā kareñge
neh ke man-mīt pā kar kyā kareñge
ham nahīñ ho paa.e haiñ ab tak ḳhudī ke
aap ko apnā banā kar kyā kareñge
jānte ho ulajhne haiñ zindagī meñ
aap ko un meñ phañsā kar kyā kareñge
raat bhar haiñ jāgte sapne sanjote
aap kī nīñdeñ uḌā kar kyā kareñge
aap jo haiñ dekh kar muñh pher lete
aap ke sapne sajā kar kyā kareñge
aaj rāhoñ meñ bichhe haiñ phuul maanā
paañv ke chhāle bhulā kar kyā kareñge
kārnāme jāntī hai zindagī ye
zindagī se muñh chhupā kar kyā kareñge
ab nahīñ hote ruāñse gaañv taj kar
gaañv meñ ik ghar banā kar kyā kareñge
zindagī bhar kī kamā.ī shā'irī hai
shā'irī se jī churā kar kyā kareñge
prem ke hum git ga kar kya karenge
neh ke man-mit pa kar kya karenge
hum nahin ho pae hain ab tak KHudi ke
aap ko apna bana kar kya karenge
jaante ho ulajhne hain zindagi mein
aap ko un mein phansa kar kya karenge
raat bhar hain jagte sapne sanjote
aap ki ninden uDa kar kya karenge
aap jo hain dekh kar munh pher lete
aap ke sapne saja kar kya karenge
aaj rahon mein bichhe hain phul mana
panw ke chhaale bhula kar kya karenge
karname jaanti hai zindagi ye
zindagi se munh chhupa kar kya karenge
ab nahin hote ruanse ganw taj kar
ganw mein ek ghar bana kar kya karenge
zindagi bhar ki kamai sha'iri hai
sha'iri se ji chura kar kya karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.