pukar lenge usko itna aasra to chahiye
pukār leñge us ko itnā aasrā to chāhiye
duā ḳhilāf-e-vaza.a hai magar ḳhudā to chāhiye
bajā ki maiñ ne zindagī se khaa.e haiñ bahut fareb
magar fareb khāne ko bhī hausla to chāhiye
maiñ apne aks kī talāsh kis ke chehre meñ karūñ
mujhe bhī ziist naam kā ik aa.inā to chāhiye
na us ke paas vaqt hai na mujh ko fursat-e-nazar
junūñ ke vāste bhī koī silsila to chāhiye
chaman ko mujh se zid sahī guloñ kī baat aur hai
sabā ke haath ik payām bhejnā to chāhiye
ye kyā ki sar jhukā ke ḳhanjaroñ ko chūmte raheñ
sitamgaroñ ko kuchh nahīñ to Toknā to chāhiye
pukar lenge us ko itna aasra to chahiye
dua KHilaf-e-waza hai magar KHuda to chahiye
baja ki main ne zindagi se khae hain bahut fareb
magar fareb khane ko bhi hausla to chahiye
main apne aks ki talash kis ke chehre mein karun
mujhe bhi zist nam ka ek aaina to chahiye
na us ke pas waqt hai na mujh ko fursat-e-nazar
junun ke waste bhi koi silsila to chahiye
chaman ko mujh se zid sahi gulon ki baat aur hai
saba ke hath ek payam bhejna to chahiye
ye kya ki sar jhuka ke KHanjaron ko chumte rahen
sitamgaron ko kuchh nahin to Tokna to chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.