pukara nit-nae mehwar badalne walon ne
pukārā nit-na.e mehvar badalne vāloñ ne
palaT ke dekhā na lekin sambhalne vāloñ ne
kiyā na ek bhī pal ke liye qayām kahīñ
zamīñ kī ḳhaak pe sadiyoñ se chalne vāloñ ne
nazar se aa.ī sadā-e-shikast-e-ḳhvāhish-e-qurb
baḌhā.e haath agar haath malne vāloñ ne
qubūl kar liyā har dā.ere kī dāvat ko
hisār-e-jabr se bāhar nikalne vāloñ ne
mire vajūd ke ḳhurshīd kī shuāoñ ko
sulā diyā hai añdheroñ meñ jalne vāloñ ne
vo ḳhauf kyā thā ki jis ke nuzūl par 'ḳhālid'
kahā na kuchh bhī bahut kuchh ugalne vāloñ ne
pukara nit-nae mehwar badalne walon ne
palaT ke dekha na lekin sambhalne walon ne
kiya na ek bhi pal ke liye qayam kahin
zamin ki KHak pe sadiyon se chalne walon ne
nazar se aai sada-e-shikast-e-KHwahish-e-qurb
baDhae hath agar hath malne walon ne
qubul kar liya har daere ki dawat ko
hisar-e-jabr se bahar nikalne walon ne
mere wajud ke KHurshid ki shuaon ko
sula diya hai andheron mein jalne walon ne
wo KHauf kya tha ki jis ke nuzul par 'KHalid'
kaha na kuchh bhi bahut kuchh ugalne walon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.