puKHta ho har saDak hi kushada bhi chahiye
puḳhta ho har saḌak hī kushāda bhī chāhiye
sar pe hameñ daraḳhtoñ kā saaya bhī chāhiye
kyā kyā tujhe atā karūñ ai dil mujhe batā
hai chāñd kī talab bhī saverā bhī chāhiye
is dil kī ḳhvāhishoñ kī koī intihā nahīñ
jab mil gayā hai saath sahārā bhī chāhiye
bachchoñ pe kuchh to rahm kiyā kar ai muflisī
roTī ke saath un ko khilaunā bhī chāhiye
fitrat hamārī auroñ se bilkul judā nahīñ
sastā bhī chāhiye hameñ achchhā bhī chāhiye
martī nahīñ hai bhuuk suḳhanvar kī daad se
bhūke shikam ko un ke nivāla bhī chāhiye
puKHta ho har saDak hi kushada bhi chahiye
sar pe hamein daraKHton ka saya bhi chahiye
kya kya tujhe ata karun ai dil mujhe bata
hai chand ki talab bhi sawera bhi chahiye
is dil ki KHwahishon ki koi intiha nahin
jab mil gaya hai sath sahaara bhi chahiye
bachchon pe kuchh to rahm kiya kar ai muflisi
roTi ke sath un ko khilauna bhi chahiye
fitrat hamari auron se bilkul juda nahin
sasta bhi chahiye hamein achchha bhi chahiye
marti nahin hai bhuk suKHanwar ki dad se
bhuke shikam ko un ke niwala bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.