Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pur hai daman chaman ka Khaaron se

Iram Lakhnavi

pur hai daman chaman ka Khaaron se

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    pur hai dāman chaman ḳhāroñ se

    dam ulajhtā hai in bahāroñ se

    kyā shikāyat fareb khāne

    sābiqa hai fareb-kāroñ se

    yaas ko ham ne duur rakkhā

    kaam jab tak chalā sahāroñ se

    biich dariyā meñ Dūbne vaale

    kyā ta'alluq hameñ kināroñ se

    ai shab-e-ġham ye dekhtā kyā huuñ

    raushnī chhin ga.ī sitāroñ se

    sair-e-nazzārgī nahīñ hotī

    koī kah de tire nazāroñ se

    log sun sun ke muskurāte haiñ

    vaqt mad.h be-qarāroñ se

    bas usī ek se hai kaam 'iram'

    kaun uljhā kare hazāroñ se

    pur hai daman chaman ka KHaron se

    dam ulajhta hai in bahaaron se

    kya shikayat fareb khane ki

    sabiqa hai fareb-karon se

    yas ko hum ne dur hi rakkha

    kaam jab tak chala sahaaron se

    bich dariya mein Dubne wale

    kya ta'alluq hamein kinaron se

    ai shab-e-gham ye dekhta kya hun

    raushni chhin gai sitaron se

    sair-e-nazzargi nahin hoti

    koi kah de tere nazaron se

    log sun sun ke muskuraate hain

    waqt ki madh be-qararon se

    bas usi ek se hai kaam 'iram'

    kaun uljha kare hazaron se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now