pur-haul hai ye rahguzar dekhte chaliye
pur-haul hai ye rahguzar dekhte chaliye
Abdul Qadir Ahqar Azizi
MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi
pur-haul hai ye rāhguzar dekhte chaliye
kaTtā bhī hai ye kaise safar dekhte chaliye
ye kashmakash-e-shams-o-qamar dekhte chaliye
aahoñ kā zarā apnī asar dekhte chaliye
aalam meñ bahut dhuum nazākat kī machī hai
nāzuk hai bahut un kī kamar dekhte chaliye
hāl-e-dil-e-māshūq aur ham pūchhne jaa.eñ
apnā hī faqat zaḳhm-e-jigar dekhte chaliye
ye husn kā un ke hī taqāzā hai shab-o-roz
jab chaliye idhar se to udhar dekhte chaliye
bedārī-e-shab ho ki ho ik ḳhvāb-e-pashemāñ
ye mo.ajiza-e-shām-o-sahar dekhte chaliye
pur-haul hai ye rahguzar dekhte chaliye
kaTta bhi hai ye kaise safar dekhte chaliye
ye kashmakash-e-shams-o-qamar dekhte chaliye
aahon ka zara apni asar dekhte chaliye
aalam mein bahut dhum nazakat ki machi hai
nazuk hai bahut un ki kamar dekhte chaliye
haal-e-dil-e-mashuq aur hum puchhne jaen
apna hi faqat zaKHm-e-jigar dekhte chaliye
ye husn ka un ke hi taqaza hai shab-o-roz
jab chaliye idhar se to udhar dekhte chaliye
bedari-e-shab ho ki ho ek KHwab-e-pasheman
ye moajiza-e-sham-o-sahar dekhte chaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.