pur-kaif anjuman hai meri anjuman abhi
pur-kaif anjuman hai mirī anjuman abhī
hai sāz-e-dil pe yaad tirī naġhma-zan abhī
āmāj-gāh-e-fitna-o-shar hai vatan abhī
rahbar ke bhes meñ haiñ yahāñ rāhzan abhī
karne haiñ zindagī meñ mujhe ġham ke tajrbe
utre na dil se nashsha-e-rañj-o-mehan abhī
ai rind tark-e-mai pe na kar naaz is qadar
uTThī nahīñ ghaTā koī tauba-shikan abhī
ruktā hai haath dāman-e-hastī pe baar baar
shāyad ḳhirad kī had meñ hai dīvāna-pan abhī
rone do hasratoñ ko zarā aur ai 'ḳhalish'
lillāh na.ash-e-dil pe na Daalo kafan abhī
pur-kaif anjuman hai meri anjuman abhi
hai saz-e-dil pe yaad teri naghma-zan abhi
aamaj-gah-e-fitna-o-shar hai watan abhi
rahbar ke bhes mein hain yahan rahzan abhi
karne hain zindagi mein mujhe gham ke tajrbe
utre na dil se nashsha-e-ranj-o-mehan abhi
ai rind tark-e-mai pe na kar naz is qadar
uTThi nahin ghaTa koi tauba-shikan abhi
rukta hai hath daman-e-hasti pe bar bar
shayad KHirad ki had mein hai diwana-pan abhi
rone do hasraton ko zara aur ai 'KHalish'
lillah nash-e-dil pe na Dalo kafan abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.