pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge
pur-kaif kahīñ ke bhī nazāre na raheñge
duniyā meñ agar ishq ke maare na raheñge
duniyā-e-mohabbat meñ charāġhāñ na milegā
palkoñ pe agar ashk hamāre na raheñge
tum chhoḌ ke mat jaao mujhe shahr-e-balā meñ
varna mire jiine ke sahāre na raheñge
tai kar lo safar shab kā ki mauqa.a hai ġhanīmat
phir charḳh-e-barīñ pe ye sitāre na raheñge
ġham ziist ke afsāne kā unvān hasīñ hai
ham hoñge kahāñ ġham jo hamāre na raheñge
be-ma.anī nazar ā.eñge ā.ankhoñ ke sahīfe
maujūd agar un meñ ishāre na raheñge
phir kis pe yaqīñ kaisā bharam kaisī muravvat
a.azā bhī hamāre jo hamāre na raheñge
pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge
duniya mein agar ishq ke mare na rahenge
duniya-e-mohabbat mein charaghan na milega
palkon pe agar ashk hamare na rahenge
tum chhoD ke mat jao mujhe shahr-e-bala mein
warna mere jine ke sahaare na rahenge
tai kar lo safar shab ka ki mauqa hai ghanimat
phir charKH-e-barin pe ye sitare na rahenge
gham zist ke afsane ka unwan hasin hai
hum honge kahan gham jo hamare na rahenge
be-mani nazar aaenge aaankhon ke sahife
maujud agar un mein ishaare na rahenge
phir kis pe yaqin kaisa bharam kaisi murawwat
aaza bhi hamare jo hamare na rahenge
- Book : Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 113)
- Author : Obaidur Rahman
- Publication : Sehla Obaid (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.