pur-nur hai jahan mohabbat ke dagh se
pur-nur hai jahan mohabbat ke dagh se
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
pur-nūr hai jahān mohabbat ke daaġh se
raushan hai dair-o-ka.aba usī ik charāġh se
bulbul ke naale aur bhī vahshat baḌhā.eñge
tafrīh ḳhaak hogī mujhe sair-e-bāġh se
kaafī hai sarḳhushī ko mirī yād-e-chashm-e-mast
miinā se kuchh ġharaz hai na matlab ayāġh se
allāh mun.imoñ ko bhī kyā hī ġhurūr hai
lete haiñ ye salām bhī to kis dimāġh se
duniyā meñ jis ne jitne kiye kam ta.alluqāt
utnī hī us ne apnī basar kī farāġh se
dil de na koī kohkan aur qais kī tarah
aatī hai roz-o-shab ye sadā koh-o-rāġh se
be bahs agar talāsh se hotā husūl-e-kām
pā letā āb-e-ḳhizr sikandar surāġh se
ham rakh deñ us ke aage kalejā nikāl kar
sun leñ ḳhabar jo yaar ke aane kī zaaġh se
furqat meñ ranj-o-ġham hai farāġhat kahāñ 'ḳhayāl'
kosoñ hai duur ye dil-e-mahzūñ farāġh se
pur-nur hai jahan mohabbat ke dagh se
raushan hai dair-o-kaba usi ek charagh se
bulbul ke nale aur bhi wahshat baDhaenge
tafrih KHak hogi mujhe sair-e-bagh se
kafi hai sarKHushi ko meri yaad-e-chashm-e-mast
mina se kuchh gharaz hai na matlab ayagh se
allah munimon ko bhi kya hi ghurur hai
lete hain ye salam bhi to kis dimagh se
duniya mein jis ne jitne kiye kam talluqat
utni hi us ne apni basar ki faragh se
dil de na koi kohkan aur qais ki tarah
aati hai roz-o-shab ye sada koh-o-ragh se
be bahs agar talash se hota husul-e-kaam
pa leta aab-e-KHizr sikandar suragh se
hum rakh den us ke aage kaleja nikal kar
sun len KHabar jo yar ke aane ki zagh se
furqat mein ranj-o-gham hai faraghat kahan 'KHayal'
koson hai dur ye dil-e-mahzun faragh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.