pur-soz jigar ke nale bhi dil-soz nikalte rahte hain
pur-soz jigar ke nale bhi dil-soz nikalte rahte hain
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
pur-soz jigar ke naale bhī dil-soz nikalte rahte haiñ
haañ sham.a bhī jaltī rahtī hai parvāne bhī jalte rahte haiñ
ḳhuddām-e-harīm-e-nāz jo haiñ allāh re un kī ḳhush-baḳhtī
dīdār bhī hotā rahtā hai armāñ bhī nikalte rahte haiñ
ġhurbat meñ vatan aur ahl-e-vatan kī yaad jab aa jaatī hai mujhe
dil hai ki taḌaptā rahtā hai aur ashk bhī Dhalte rahte haiñ
ai shaiḳh-o-barahman dekhtā huuñ din raat tumhāre murdoñ ko
ye ḳhaak meñ milte rahte haiñ vo aag meñ jalte rahte haiñ
ā.īna husn-e-sabīh bhī kyā dekhe ki vo vaqt-e-nazzāra
dam bhar nahīñ jamte shauq-e-nazar ke paañv phisalte rahte haiñ
ai shaiḳh-e-haram e.ajāz hai ye pur-kaif nigāh-e-sāqī kā
bā-hosh to girte rahte haiñ behosh sambhalte rahte haiñ
ārām-o-musībat kyā shai hai hotā nahīñ kuchh ehsās unheñ
manzil kī jo dhun meñ haiñ 'sābir' din-rāt vo chalte rahte haiñ
pur-soz jigar ke nale bhi dil-soz nikalte rahte hain
han shama bhi jalti rahti hai parwane bhi jalte rahte hain
KHuddam-e-harim-e-naz jo hain allah re un ki KHush-baKHti
didar bhi hota rahta hai arman bhi nikalte rahte hain
ghurbat mein watan aur ahl-e-watan ki yaad jab aa jati hai mujhe
dil hai ki taDapta rahta hai aur ashk bhi Dhalte rahte hain
ai shaiKH-o-barahman dekhta hun din raat tumhaare murdon ko
ye KHak mein milte rahte hain wo aag mein jalte rahte hain
aaina husn-e-sabih bhi kya dekhe ki wo waqt-e-nazzara
dam bhar nahin jamte shauq-e-nazar ke panw phisalte rahte hain
ai shaiKH-e-haram eajaz hai ye pur-kaif nigah-e-saqi ka
ba-hosh to girte rahte hain behosh sambhalte rahte hain
aaram-o-musibat kya shai hai hota nahin kuchh ehsas unhen
manzil ki jo dhun mein hain 'sabir' din-raat wo chalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.