pur-soz tarannum mein kya shama ghazal-KHwan hai
pur-soz tarannum meñ kyā sham.a ġhazal-ḳhvāñ hai
lau jhūmtī jaatī hai parvāna bhī raqsāñ hai
derīna ḳharāboñ par ta.amīr-e-gulistāñ hai
bā-vasf hujūm-e-gul rañgīnī-e-vīrāñ hai
sho.ala ho ki ḳhushbū ho tāsīr meñ yaksāñ hai
har sham.a mahaktī hai har phuul farozāñ hai
dil ke kisī jazbe ko kyā naam abhī se duuñ
jo un kī nigāhoñ se Takrā.e vo armāñ hai
āsūda zamāne kī be-rāh-ravī tauba
vo mashq-e-sitam jab tak jaarī rahe ehsāñ hai
yaad aatī hai rāhoñ meñ shādābī-e-naḳhlistāñ
phir pā-e-barahna hai pur-ḳhār bayābāñ hai
ḳhāmoshī ke aalam meñ dil Dūbtā jaatā hai
Thahrī huī maujoñ ke dāman meñ bhī tūfāñ hai
ai bazm-e-suḳhan terā aise meñ ḳhudā-hāfiz
palkeñ vo jhukī sī haiñ 'mānī' bhī ġhazal-ḳhvāñ hai
pur-soz tarannum mein kya shama ghazal-KHwan hai
lau jhumti jati hai parwana bhi raqsan hai
derina KHarabon par tamir-e-gulistan hai
ba-wasf hujum-e-gul rangini-e-viran hai
shoala ho ki KHushbu ho tasir mein yaksan hai
har shama mahakti hai har phul farozan hai
dil ke kisi jazbe ko kya nam abhi se dun
jo un ki nigahon se Takrae wo arman hai
aasuda zamane ki be-rah-rawi tauba
wo mashq-e-sitam jab tak jari rahe ehsan hai
yaad aati hai rahon mein shadabi-e-naKHlistan
phir pa-e-barahna hai pur-KHar bayaban hai
KHamoshi ke aalam mein dil Dubta jata hai
Thahri hui maujon ke daman mein bhi tufan hai
ai bazm-e-suKHan tera aise mein KHuda-hafiz
palken wo jhuki si hain 'mani' bhi ghazal-KHwan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.