purana dostana chahte hain
purānā dostāna chāhte haiñ
in āñkhoñ kā Thikānā chāhte haiñ
nahīñ chāhat kā koī bhī guzar par
tumheñ ham yaad aanā chāhte haiñ
unheñ chāhat kā koī Dhab nahīñ jo
mohabbat āzmānā chāhte haiñ
añgāre bhar ke chashm-e-ārzū meñ
sitāre shab jalānā chāhte haiñ
lagī dil kī bujhānī hai hameñ so
vajūd-e-his miTānā chāhte haiñ
kise dīvāngī se vāsta hai
yahāñ to sab divāna chāhte haiñ
hai dil-bastī ke bāshindoñ se shikva
so ye buniyād Dhānā chāhte haiñ
unheñ merī qazā kī ittilā.a ho
sunā hai lauT aanā chāhte haiñ
purana dostana chahte hain
in aankhon ka Thikana chahte hain
nahin chahat ka koi bhi guzar par
tumhein hum yaad aana chahte hain
unhen chahat ka koi Dhab nahin jo
mohabbat aazmana chahte hain
angare bhar ke chashm-e-arzu mein
sitare shab jalana chahte hain
lagi dil ki bujhani hai hamein so
wajud-e-his miTana chahte hain
kise diwangi se wasta hai
yahan to sab diwana chahte hain
hai dil-basti ke bashindon se shikwa
so ye buniyaad Dhana chahte hain
unhen meri qaza ki ittilaa ho
suna hai lauT aana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.