purane ahd-name gar ufuq par naqsh ho jate
purāne ahd-nāme gar 'ufuq par naqsh ho jaate
muqaddas abr-pāre is zamīñ ke zaḳhm dho jaate
agar ik sūrmā ran meñ savere sar na de jaatā
ka.ī be-nām pyāde shaam kī ghāTī meñ kho jaate
havelī se tilismī bāñsurī kī lai nidā detī
kahānī kahte kahte qissa-go DyoḌhī meñ so jaate
sulagtī thī mahalle meñ nahūsat kī agarbattī
farishte phir yahāñ 'ūd-e-sa'ādat kaise bo jaate
agar āshuftagī kī aañch se diide na jal uThte
parī-zādoñ ke paañv āñsuoñ se ham bhigo jaate
chhalaktī hoñgī āvāzeñ samā'at ke piyāloñ se
kabhī sochā ki is manzar ko āñkhoñ meñ Dubo jaate
uqūbat-gāh-e-duniyā se chale jab to ḳhayāl aayā
ḳhamoshī ke badan meñ apnī chīḳheñ hī chubho jaate
azal se thā yahī mā'mūl būḌhe devtāoñ kā
thakan se sub.h-dam bistar pe girte aur so jaate
purane ahd-name gar 'ufuq par naqsh ho jate
muqaddas abr-pare is zamin ke zaKHm dho jate
agar ek surma ran mein sawere sar na de jata
kai be-nam pyaade sham ki ghaTi mein kho jate
haweli se tilismi bansuri ki lai nida deti
kahani kahte kahte qissa-go DyoDhi mein so jate
sulagti thi mahalle mein nahusat ki agarbatti
farishte phir yahan 'ud-e-sa'adat kaise bo jate
agar aashuftagi ki aanch se dide na jal uThte
pari-zadon ke panw aansuon se hum bhigo jate
chhalakti hongi aawazen sama'at ke piyalon se
kabhi socha ki is manzar ko aankhon mein Dubo jate
uqubat-gah-e-duniya se chale jab to KHayal aaya
KHamoshi ke badan mein apni chiKHen hi chubho jate
azal se tha yahi ma'mul buDhe dewtaon ka
thakan se subh-dam bistar pe girte aur so jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.