purane chand nai dhup ki zaban mein hai
purāne chāñd na.ī dhuup kī zabān meñ hai
mirā qasīda tire jangaloñ kī shaan meñ hai
nadī huuñ garche pahāḌoñ meñ gungunātī huī
mirā shumār samundar ke ḳhāndān meñ hai
fazā meñ us ke 'alāva koī parinda nahīñ
jise uḌāyā thā maiñ ne vahī uḌaan meñ hai
bas ek ujḌā huā ghoñsla hai aur maiñ huuñ
guzarte vaqt kī siskī bhī is makān meñ hai
masāfatoñ meñ koī dukh nahīñ to mere 'azīz
nikal ke dhuup meñ dekhe jo sā.ebān meñ hai
tirī bahisht kī rangīniyāñ kamāl magar
zamīñ kā husn bhī kyā terī dāstān meñ hai
hujūm-e-shahr se nikle to inkishāf huā
kashish junūñ ke liye dasht kī azaan meñ hai
abhī hai haath mirā tesha-e-taḳhayyul par
maiñ sochtā huuñ jise vo abhī chaTān meñ hai
purane chand nai dhup ki zaban mein hai
mera qasida tere jangalon ki shan mein hai
nadi hun garche pahaDon mein gungunati hui
mera shumar samundar ke KHandan mein hai
faza mein us ke 'alawa koi parinda nahin
jise uDaya tha main ne wahi uDan mein hai
bas ek ujDa hua ghonsla hai aur main hun
guzarte waqt ki siski bhi is makan mein hai
masafaton mein koi dukh nahin to mere 'aziz
nikal ke dhup mein dekhe jo saeban mein hai
teri bahisht ki ranginiyan kamal magar
zamin ka husn bhi kya teri dastan mein hai
hujum-e-shahr se nikle to inkishaf hua
kashish junun ke liye dasht ki azan mein hai
abhi hai hath mera tesha-e-taKHayyul par
main sochta hun jise wo abhi chaTan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.