purane gham ko nae mein nae purane mein
purāne ġham ko na.e meñ na.e purāne meñ
javānī biit rahī hai inheñ milāne meñ
mujhe miTāne meñ ḳhud ko miTā diyā us ne
rubber ko ghisnā paḌā hai likhā miTāne meñ
faqat ye lakḌī nahīñ hai tumhārī baisākhī
shajar ke haath kaTe haiñ ise banāne meñ
phir us ke baad meñ ḳhud ko talāsh kartā huuñ
yahī ḳharābī hai us ko gale lagāne meñ
vo mujh ko chāhtā hai bas kisī bhī qīmat par
so apnā jism mujhe de gayā bayāne meñ
purane gham ko nae mein nae purane mein
jawani bit rahi hai inhen milane mein
mujhe miTane mein KHud ko miTa diya us ne
rubber ko ghisna paDa hai likha miTane mein
faqat ye lakDi nahin hai tumhaari baisakhi
shajar ke hath kaTe hain ise banane mein
phir us ke baad mein KHud ko talash karta hun
yahi KHarabi hai us ko gale lagane mein
wo mujh ko chahta hai bas kisi bhi qimat par
so apna jism mujhe de gaya bayane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.