purane ho gae ghar baiThe baiThe
purāne ho ga.e ghar baiThe baiThe
mire dīvār aur dar baiThe baiThe
hamāre jism kā hissa banā hai
hamāre zehn meñ Dar baiThe baiThe
paḌī hai aisī aadat Thokaroñ kī
hameñ lagtī hai Thokar baiThe baiThe
maiñ rahtā huuñ masāfat meñ hamesha
safar kartā huuñ aksar baiThe baiThe
chalī jaatī hai phir uTh kar achānak
ḳhushī mere barābar baiThe baiThe
mabādā bhuul hī jā.ūñ maiñ parvāz
hilātā rahtā huuñ par baiThe baiThe
bahut hī mushta.il hone lagā hai
mire andar samundar baiThe baiThe
nahīñ kuchh fikr karne kī zarūrat
chamaktā hai muqaddar baiThe baiThe
palaTtā rahtā huuñ yādoñ ke aurāq
maiñ 'nāmī' roz daftar baiThe baiThe
purane ho gae ghar baiThe baiThe
mere diwar aur dar baiThe baiThe
hamare jism ka hissa bana hai
hamare zehn mein Dar baiThe baiThe
paDi hai aisi aadat Thokaron ki
hamein lagti hai Thokar baiThe baiThe
main rahta hun masafat mein hamesha
safar karta hun aksar baiThe baiThe
chali jati hai phir uTh kar achanak
KHushi mere barabar baiThe baiThe
mabaada bhul hi jaun main parwaz
hilata rahta hun par baiThe baiThe
bahut hi mushtail hone laga hai
mere andar samundar baiThe baiThe
nahin kuchh fikr karne ki zarurat
chamakta hai muqaddar baiThe baiThe
palaTta rahta hun yaadon ke auraq
main 'nami' roz daftar baiThe baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.