purane raston pe koi kya rasta banae
purāne rastoñ pe koī kyā rāsta banā.e
use banānā hai to judā rāsta banā.e
maiñ us kī tahvīl meñ diyā kho chukī huuñ ab to
ajab nahīñ ḳhud havā mirā rāsta banā.e
mujhe yaqīñ hai ki pāniyoñ par bhī chal sakūñgī
baġhair kashtī ba-zor-e-pā rāsta banā.e
maiñ apnī hujjat tamām kar ke rukī huī huuñ
ab us se aage mirā ḳhudā rāsta banā.e
jise suhūlat ne rāstoñ meñ biThā diyā ho
vo apnī manzil kī samt kyā rāsta banā.e
purane raston pe koi kya rasta banae
use banana hai to juda rasta banae
main us ki tahwil mein diya kho chuki hun ab to
ajab nahin KHud hawa mera rasta banae
mujhe yaqin hai ki paniyon par bhi chal sakungi
baghair kashti ba-zor-e-pa rasta banae
main apni hujjat tamam kar ke ruki hui hun
ab us se aage mera KHuda rasta banae
jise suhulat ne raston mein biTha diya ho
wo apni manzil ki samt kya rasta banae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.