purani baat thi miTTi bhi Dal sakta tha
purānī baat thī miTTī bhī Daal saktā thā
vo chāhtā to musībat ye Taal saktā thā
ġham-e-jahān ka.ī pal rahe the jab mujh meñ
tumhārā dukh bhī ḳhushī se maiñ paal saktā thā
nikal hī jaatī hai har baat hāthoñ se ik din
sañbhālā maiñ ne bhī jab tak sañbhāl saktā thā
'ajīb sukh thā mujhe ban ke us kī baisākhī
maiñ jab ki paañv kā kāñTā nikāl saktā thā
dukhoñ kā bojh liye Duubā thā maiñ paanī meñ
faqat ye jism to dariyā uchhāl saktā thā
purani baat thi miTTi bhi Dal sakta tha
wo chahta to musibat ye Tal sakta tha
gham-e-jahan kai pal rahe the jab mujh mein
tumhaara dukh bhi KHushi se main pal sakta tha
nikal hi jati hai har baat hathon se ek din
sanbhaala main ne bhi jab tak sanbhaal sakta tha
'ajib sukh tha mujhe ban ke us ki baisakhi
main jab ki panw ka kanTa nikal sakta tha
dukhon ka bojh liye Duba tha main pani mein
faqat ye jism to dariya uchhaal sakta tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 82)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.