purkhon ki bu bas liye phirta hun
purkhoñ kī bū baas liye phirtā huuñ
muTThī bhar ehsās liye phirtā huuñ
chāroñ or samundar aur maiñ pal pal
ek anjānī pyaas liye phirtā huuñ
raam ko to ban-bās liye phirtā thā
maiñ ḳhud meñ ban-bās liye phirtā huuñ
mahfil mahfil ḳhema-zan māyūsī
manzil manzil aas liye phirtā huuñ
har mausam kā karb chhupā hai mujh meñ
maiñ har rut kī pyaas liye phirtā huuñ
purkhon ki bu bas liye phirta hun
muTThi bhar ehsas liye phirta hun
chaaron or samundar aur main pal pal
ek anjaani pyas liye phirta hun
ram ko to ban-bas liye phirta tha
main KHud mein ban-bas liye phirta hun
mahfil mahfil KHema-zan mayusi
manzil manzil aas liye phirta hun
har mausam ka karb chhupa hai mujh mein
main har rut ki pyas liye phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.