pursish ai chashm-e-gham-gusar na kar
pursish ai chashm-e-gham-gusar na kar
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
pursish ai chashm-e-ġham-gusār na kar
dil ko rah-rah ke ashk-bār na kar
ābla-pā.ī hai hayāt mirī
merī rāhoñ se duur ḳhaar na kar
ye ḳhudā par bhī harf rakhte haiñ
nukta-chīnoñ se dil-figār na kar
dam-e-ruḳhsat bahut rulā.egī
zindagī se tū itnā pyaar na kar
ai sabā khil uTheñge zaḳhm-e-dil
ham se tū zikr-e-nau-bahār na kar
maiñ bhī terā ḳhudā nahīñ tū bhī
ravish-e-kufr iḳhtiyār na kar
apnī ḳhud-kardagī dikhāne ko
hādsoñ par hī inhisār na kar
dāman-e-gul-ruḳhāñ meñ phuul bhī haiñ
sang hī kā tū intizār na kar
bār-e-ehsāñ se mar na jā.ūñ kahīñ
har-nafas lutf-e-be-shumār na kar
tū jise dekh kar taḌap uTThe
vo sitam ai sitam-shi.ār na kar
tū na gin pā.egā inheñ tā-umr
'rāz' ke zaḳhm-e-dil shumār na kar
pursish ai chashm-e-gham-gusar na kar
dil ko rah-rah ke ashk-bar na kar
aabla-pai hai hayat meri
meri rahon se dur KHar na kar
ye KHuda par bhi harf rakhte hain
nukta-chinon se dil-figar na kar
dam-e-ruKHsat bahut rulaegi
zindagi se tu itna pyar na kar
ai saba khil uThenge zaKHm-e-dil
hum se tu zikr-e-nau-bahaar na kar
main bhi tera KHuda nahin tu bhi
rawish-e-kufr iKHtiyar na kar
apni KHud-kardagi dikhane ko
hadson par hi inhisar na kar
daman-e-gul-ruKHan mein phul bhi hain
sang hi ka tu intizar na kar
bar-e-ehsan se mar na jaun kahin
har-nafas lutf-e-be-shumar na kar
tu jise dekh kar taDap uTThe
wo sitam ai sitam-shiar na kar
tu na gin paega inhen ta-umr
'raaz' ke zaKHm-e-dil shumar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.