putla-e-KHak mein hai bhed chhupa kya kahiye
putla-e-KHak mein hai bhed chhupa kya kahiye
Sayyad Tasadduq Ali Asad
MORE BYSayyad Tasadduq Ali Asad
putlā-e-ḳhāk meñ hai bhed chhupā kyā kahiye
khol deñ phir to ho ik shor bapā kyā kahiye
ham hoñ mādūm jahāñ aap hoñ mumkin hī nahīñ
kab ziyā shams se hotī hai judā kyā kahiye
tum ko hī chhoḌ deñ yā ḳhud ko hī ham kho baiTheñ
utnī hī baat meñ miltā hai pata kyā kahiye
kaun zāhir hai sivā aap ke jab maiñ ne kahā
ho ga.e phir to ḳhafā ho ke ḳhafā kyā kahiye
chashm-e-ahval haiñ haqīqat meñ sharī.at vaale
donoñ aalam meñ nahīñ tere sivā kyā kahiye
tū chhupā ḳhud ko agar ham ko ayaañ chāhtā hai
yahī aatī hai mire dil se sadā kyā kahiye
hashr tak hosh meñ ham aa nahīñ sakte haiñ 'asad'
pī chuke saaqī se vo jām-e-fanā kyā kahiye
putla-e-KHak mein hai bhed chhupa kya kahiye
khol den phir to ho ek shor bapa kya kahiye
hum hon madum jahan aap hon mumkin hi nahin
kab ziya shams se hoti hai juda kya kahiye
tum ko hi chhoD den ya KHud ko hi hum kho baiThen
utni hi baat mein milta hai pata kya kahiye
kaun zahir hai siwa aap ke jab main ne kaha
ho gae phir to KHafa ho ke KHafa kya kahiye
chashm-e-ahwal hain haqiqat mein shariat wale
donon aalam mein nahin tere siwa kya kahiye
tu chhupa KHud ko agar hum ko ayan chahta hai
yahi aati hai mere dil se sada kya kahiye
hashr tak hosh mein hum aa nahin sakte hain 'asad'
pi chuke saqi se wo jam-e-fana kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.