puchh lete jo muddaa humse
pūchh lete jo mudda.ā ham se
phir na karte koī gila ham se
thā zamāna to bad-gumāñ lekin
aap bhī ho ga.e ḳhafā ham se
hai ḳhudā-hāfiz ab to kashtī kā
duur ho duur nā-ḳhudā ham se
ham ko to zindagī ne maar liyā
kyā kahegī bhalā qazā ham se
aap kā ham se vāsta to ye
vāsta aur aap kā ham se
dekh kar un ko aañkh bhar aa.ī
us se aage na kuchh huā ham se
tum ne 'bismil' zamāna dekh liyā
kam mile hoñge bā-vafā ham se
puchh lete jo muddaa hum se
phir na karte koi gila hum se
tha zamana to bad-guman lekin
aap bhi ho gae KHafa hum se
hai KHuda-hafiz ab to kashti ka
dur ho dur na-KHuda hum se
hum ko to zindagi ne mar liya
kya kahegi bhala qaza hum se
aap ka hum se wasta to ye
wasta aur aap ka hum se
dekh kar un ko aankh bhar aai
us se aage na kuchh hua hum se
tum ne 'bismil' zamana dekh liya
kam mile honge ba-wafa hum se
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 84)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.