puchh lo gar jhuT kahta hun dil-e-nakaam se
puchh lo gar jhuT kahta hun dil-e-nakaam se
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
pūchh lo gar jhuuT kahtā huuñ dil-e-nākām se
sub.h kī hai aaj bhī ro ro ke maiñ ne shaam se
sābiqa hai roz-e-fardā us but-e-ḳhud-kām se
qabr meñ sone de ai dil do ghaḌī ārām se
ro rahe haiñ ab to dushman bhī janāze par khaḌe
aap bhī gardan uThā kar dekh lete baam se
aa ga.ī hai yaad mujh ko gardish-e-chashm-e-nigār
sāqiyā nazzāra-e-daur-e-mai-e-gulfām se
koī mar jaa.e ki furqat meñ rahe zinda ba-gor
un ko apne kaam se matlab hai apne naam se
chhuT ke peshānī kī afshāñ dekheñ kis kis par gire
bijliyāñ nāhaq girāte haiñ vo baiThe baam se
baad murdan ho galī us kī ki dasht-e-ḳhār-ḳhār
vaañ bhī rahte chain se aur yaañ bhī haiñ ārām se
zahr ho lekin vo mujh ko apne hāthoñ se to de
yuuñ to matlab jaam se hai aur na daur-e-jām se
āshiqī achchhī sahī anjām-e-ishq achchhā nahīñ
ai 'haqīr' ab darguzar kar is ḳhayāl-e-ḳhām se
puchh lo gar jhuT kahta hun dil-e-nakaam se
subh ki hai aaj bhi ro ro ke main ne sham se
sabiqa hai roz-e-farda us but-e-KHud-kaam se
qabr mein sone de ai dil do ghaDi aaram se
ro rahe hain ab to dushman bhi janaze par khaDe
aap bhi gardan uTha kar dekh lete baam se
aa gai hai yaad mujh ko gardish-e-chashm-e-nigar
saqiya nazzara-e-daur-e-mai-e-gulfam se
koi mar jae ki furqat mein rahe zinda ba-gor
un ko apne kaam se matlab hai apne nam se
chhuT ke peshani ki afshan dekhen kis kis par gire
bijliyan nahaq giraate hain wo baiThe baam se
baad murdan ho gali us ki ki dasht-e-KHar-KHar
wan bhi rahte chain se aur yan bhi hain aaram se
zahr ho lekin wo mujh ko apne hathon se to de
yun to matlab jam se hai aur na daur-e-jam se
aashiqi achchhi sahi anjam-e-ishq achchha nahin
ai 'haqir' ab darguzar kar is KHayal-e-KHam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.