puchh lo tum chahe jis se ye mera kirdar hai
pūchh lo tum chāhe jis se ye merā kirdār hai
sab se jhuk ke miltā huuñ aur sādgī se pyaar hai
kal talak to aap mālik the dukān-e-‘ishq ke
ab sunā hai aap kā nafrat kā kārobār hai
bil-yaqīnī hai muqaddar kā dhanī merā raqīb
phuul hai pahlū meñ us ke mere pā meñ ḳhaar hai
ek din aa.egā tū merī 'ayādat ke liye
bas isī ummīd meñ zinda tirā bīmār hai
zindagī ko zindagī se chhīn kar zinda na rakh
zindagī ko dene vaale zindagī dushvār hai
puchh lo tum chahe jis se ye mera kirdar hai
sab se jhuk ke milta hun aur sadgi se pyar hai
kal talak to aap malik the dukan-e-‘ishq ke
ab suna hai aap ka nafrat ka karobar hai
bil-yaqini hai muqaddar ka dhani mera raqib
phul hai pahlu mein us ke mere pa mein KHar hai
ek din aaega tu meri 'ayaadat ke liye
bas isi ummid mein zinda tera bimar hai
zindagi ko zindagi se chhin kar zinda na rakh
zindagi ko dene wale zindagi dushwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.