pūchh mat kis ne ye lagā.ī choT
de ga.ī apnī āshnā.ī choT
jis se apnā lahū Tapaktā hai
hotī phir kaise ye parā.ī choT
baañT duuñ kaise saarī duniyā meñ
'umr-bhar maiñ ne jo kamā.ī choT
zaḳhm nāsūr ban hī jaanā thā
ghuum phir kar mujhī pe aa.ī choT
kis tarah alvidā’ kah duuñ use
mujh ko detī nahīñ vidā'ī choT
taab aisī 'kamal' thī zaḳhmoñ kī
choT ko dekh muskurā.ī choT
puchh mat kis ne ye lagai choT
de gai apni aashnai choT
jis se apna lahu Tapakta hai
hoti phir kaise ye parai choT
banT dun kaise sari duniya mein
'umr-bhar main ne jo kamai choT
zaKHm nasur ban hi jaana tha
ghum phir kar mujhi pe aai choT
kis tarah alwida’ kah dun use
mujh ko deti nahin wida'i choT
tab aisi 'kamal' thi zaKHmon ki
choT ko dekh muskurai choT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.