puchh mat kitni pareshani hua karti hai
pūchh mat kitnī pareshānī huā kartī hai
jab bhare shahr meñ vīrānī huā kartī hai
tere siine se lagā huuñ to khulā hai mujh par
saañs lene meñ bhī āsānī huā kartī hai
chand ik phuul hī hote haiñ bhare gulshan meñ
jin ke jhaḌne pe pashemānī huā kartī hai
ye jo darvesh nazar aate haiñ bhūke pyāse
un ke pairoñ tale sultānī huā kartī hai
duur mat bhaag na Dar jhulse hue peḌ haiñ ham
apnī ḳhvāhish to faqat paanī huā kartī hai
puchh mat kitni pareshani hua karti hai
jab bhare shahr mein virani hua karti hai
tere sine se laga hun to khula hai mujh par
sans lene mein bhi aasani hua karti hai
chand ek phul hi hote hain bhare gulshan mein
jin ke jhaDne pe pashemani hua karti hai
ye jo darwesh nazar aate hain bhuke pyase
un ke pairon tale sultani hua karti hai
dur mat bhag na Dar jhulse hue peD hain hum
apni KHwahish to faqat pani hua karti hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.