puchha to humne nam-o-nasab bhi bata diya
pūchhā to ham ne nām-o-nasab bhī batā diyā
barbād kyoñ hue ye sabab bhī batā diyā
ye bhī batā diyā ki hai kitne dinoñ kī pyaas
sūkhe haiñ kis ke vāste lab bhī batā diyā
pahle bhī un se 'ishq thā ab bhī unhīñ se hai
tab bhī batā diyā unheñ ab bhī batā diyā
un ko kahāñ kisī ke dukhoñ se hai vāsta
samjhā ke tujh ko bhejā thā jab bhī batā diyā
dil ko batā diiñ aap kī vo shoḳhiyāñ tamām
aur aap kā vo qahr-o-ġhazab bhī batā diyā
puchha to hum ne nam-o-nasab bhi bata diya
barbaad kyon hue ye sabab bhi bata diya
ye bhi bata diya ki hai kitne dinon ki pyas
sukhe hain kis ke waste lab bhi bata diya
pahle bhi un se 'ishq tha ab bhi unhin se hai
tab bhi bata diya unhen ab bhi bata diya
un ko kahan kisi ke dukhon se hai wasta
samjha ke tujh ko bheja tha jab bhi bata diya
dil ko bata din aap ki wo shoKHiyan tamam
aur aap ka wo qahr-o-ghazab bhi bata diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.