puchhe hai mera dil teri tanhai se kya kya
pūchhe hai mirā dil tirī tanhā.ī se kyā kyā
pahlū meñ koī shaḳhs numūdār huā kyā
dil sail-e-havas meñ to pahuñchtā hai kahīñ aur
mad.hosh musāfir ho to manzil kā pata kyā
ai zehn-e-rasā kuchh sipar-andāz to ho jā
dekheñ to javāb aate haiñ aflāk se kyā kyā
kyuuñ phailtī jaatī hai koī ḳhushbū-e-mānūs
dil abr kī mānind tire dar se uThā kyā
ai rahbar-e-mārūf ye taskīn-e-safar kyuuñ
tujh ko nazar aayā mirā naqsh-e-kaf-e-pā kyā
aayā huuñ barī ho ke maiñ aivān-e-ḳhirad se
ye shahr-e-mohabbat hai yahāñ merī sazā kyā
ik zaḳhm mahaktā hai tumhārā rag-e-jāñ par
samjhūñ maiñ use apnī vafāoñ kā sila kyā
hai mahv-e-tamannā dil-e-āzurda ki dekhe
pindār-e-mohabbat meñ hai andāz-e-ḳhudā kyā
'āfāq' mire chāñd ke baare meñ na pūchho
aa jaa.e vo añgḌā.ī pe to raqs-e-sabā kyā
puchhe hai mera dil teri tanhai se kya kya
pahlu mein koi shaKHs numudar hua kya
dil sail-e-hawas mein to pahunchta hai kahin aur
madhosh musafir ho to manzil ka pata kya
ai zehn-e-rasa kuchh sipar-andaz to ho ja
dekhen to jawab aate hain aflak se kya kya
kyun phailti jati hai koi KHushbu-e-manus
dil abr ki manind tere dar se uTha kya
ai rahbar-e-maruf ye taskin-e-safar kyun
tujh ko nazar aaya mera naqsh-e-kaf-e-pa kya
aaya hun bari ho ke main aiwan-e-KHirad se
ye shahr-e-mohabbat hai yahan meri saza kya
ek zaKHm mahakta hai tumhaara rag-e-jaan par
samjhun main use apni wafaon ka sila kya
hai mahw-e-tamanna dil-e-azurda ki dekhe
pindar-e-mohabbat mein hai andaz-e-KHuda kya
'afaq' mere chand ke bare mein na puchho
aa jae wo angDai pe to raqs-e-saba kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.