puchho na kuchh subut-e-KHirad maine kya diya
puchho na kuchh subut-e-KHirad maine kya diya
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
pūchho na kuchh subūt-e-ḳhirad maiñ ne kyā diyā
ek mast-e-nāz ko dil-e-be-mudda.ā diyā
ab kyā gila karūñ adam-e-iltifāt kā
merī nigāh-e-yās ne sab kuchh jatā diyā
baḌhte hue shu.ūr meñ gum ho rahā huuñ maiñ
ehsās-e-husn aap ne itnā baḌhā diyā
dekhī na jab tajallī-e-takrār-āshnā
be-rañgiyoñ kā rañg ḳhudī ne jamā diyā
hai shaad be-dilī pe tahī-dast-e-ārzū
achchhā kiyā nishān-e-tamannā miTā diyā
māyūs-e-jalva-ha-e-tarab huuñ ḳhabar nahīñ
dil ḳhud hī bujh gayā ki kisī ne bujhā diyā
kyā lutf-e-iztirāb dikhā.ūñ ki aap ne
ehsā-e-dard dard se pahle miTā diyā
anjām-e-dīd-o-eid ab ai ham-nashīñ na pūchh
vo mujh ko yaad hai mujhe jis ne bhulā diyā
ma.alūm thā tujhe ki vo dard-āshnā nahīñ
'manzūr' dil kā dard unheñ bhī sunā diyā
puchho na kuchh subut-e-KHirad main ne kya diya
ek mast-e-naz ko dil-e-be-muddaa diya
ab kya gila karun adam-e-iltifat ka
meri nigah-e-yas ne sab kuchh jata diya
baDhte hue shuur mein gum ho raha hun main
ehsas-e-husn aap ne itna baDha diya
dekhi na jab tajalli-e-takrar-ashna
be-rangiyon ka rang KHudi ne jama diya
hai shad be-dili pe tahi-dast-e-arzu
achchha kiya nishan-e-tamanna miTa diya
mayus-e-jalwa-ha-e-tarab hun KHabar nahin
dil KHud hi bujh gaya ki kisi ne bujha diya
kya lutf-e-iztirab dikhaun ki aap ne
ehsa-e-dard dard se pahle miTa diya
anjam-e-did-o-eid ab ai ham-nashin na puchh
wo mujh ko yaad hai mujhe jis ne bhula diya
malum tha tujhe ki wo dard-ashna nahin
'manzur' dil ka dard unhen bhi suna diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.