puchho na ye firaq mein kya tera haal hai
pūchho na ye firāq meñ kyā terā haal hai
marnā kamāl-e-sahl hai jiinā muhāl hai
ye husn huur kā na parī kā jamāl hai
ḳhūbān-e-dahr meñ to 'adīm-ul-misāl hai
ai jazb-e-'ishq sirf ye terā kamāl hai
un kā mujhe ḳhayāl unheñ merā ḳhayāl hai
bīmār-e-dard-o-ġham kī haqīqat na pūchhiye
kal aur haal us kā thā aaj aur haal hai
ik chaudhvīñ ke chāñd pe hī munhasir nahīñ
yūñhī har ek shai ko urūj-o-zavāl hai
vāqif haiñ mehr-o-mah kī haqīqat se ḳhuub ham
is meñ tirā jalāl hai is meñ jamāl hai
mirrīḳh kāñptā hai tumhāre jalāl se
tum se milā.e aañkh ye kis kī majāl hai
kar dūñgā sard nār-e-jahannam ko hashr meñ
kaafī use mirā 'araq-e-infi'āl hai
us sarv-qad ke qad se hai jis aadmī ko 'ishq
sarsabz hai vo baaġh jahāñ meñ nihāl hai
ai shaiḳh salsabīl ho yā ho do-ātisha
piinā koī harām nahīñ hai halāl hai
'sābir' tirā kalām suneñ kyuuñ na ahl-e-fan
bandish 'ajab hai aur 'ajab bol-chāl hai
puchho na ye firaq mein kya tera haal hai
marna kamal-e-sahl hai jina muhaal hai
ye husn hur ka na pari ka jamal hai
KHuban-e-dahr mein to 'adim-ul-misal hai
ai jazb-e-'ishq sirf ye tera kamal hai
un ka mujhe KHayal unhen mera KHayal hai
bimar-e-dard-o-gham ki haqiqat na puchhiye
kal aur haal us ka tha aaj aur haal hai
ek chaudhwin ke chand pe hi munhasir nahin
yunhi har ek shai ko uruj-o-zawal hai
waqif hain mehr-o-mah ki haqiqat se KHub hum
is mein tera jalal hai is mein jamal hai
mirriKH kanpta hai tumhaare jalal se
tum se milae aankh ye kis ki majal hai
kar dunga sard nar-e-jahannam ko hashr mein
kafi use mera 'araq-e-infi'al hai
us sarw-qad ke qad se hai jis aadmi ko 'ishq
sarsabz hai wo bagh jahan mein nihaal hai
ai shaiKH salsabil ho ya ho do-atisha
pina koi haram nahin hai halal hai
'sabir' tera kalam sunen kyun na ahl-e-fan
bandish 'ajab hai aur 'ajab bol-chaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.