puchhta hai ai but-e-be-pir kya
puchhta hai ai but-e-be-pir kya
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
pūchhtā hai ai but-e-be-pīr kyā
kyā kahūñ hai ranj dāman-gīr kyā
kyoñ ḳhafā ho merī qismat kī tarah
kuchh kaho to hai mirī taqsīr kyā
le rahā hai mahfil-e-dildār meñ
sham.a ke bose lab-e-gul-gīr kyā
ishq meñ ik ġhuncha-lab kī kyā kahūñ
chup huuñ shakl-e-bulbul-e-tasvīr kyā
tīr-e-āh-e-sho.ala-zā ke sāmne
ai sanam buniyād-e-charḳh-e-pīr kyā
be-takalluf har dahān-e-zaḳhm ke
bose letī hai zabān-e-tīr kyā
haif baḌh baḌh kar nigāh-e-yār meñ
ghaT ga.e ham sūrat-e-tauqīr kyā
jald uThā lā ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār ko
qatl meñ qātil hai ab tāḳhīr kyā
ek yār-e-naujavāñ ke ishq meñ
dekhiye dikhlā.e charḳh-e-pīr kyā
mere jī uThne kī ai īsā-nafas
zehn meñ hai aap ke tadbīr kyā
azm-e-qatl-e-āshiq-e-jāñbāz se
fā.eda hai ai but-e-be-pīr kyā
ḳhāna-e-zindāñ meñ mere ashk kī
qadr jaane dīda-e-zanjīr kyā
ai 'shagufta' us but-e-tarrār se
pesh jā.egī mirī taqdīr kyā
puchhta hai ai but-e-be-pir kya
kya kahun hai ranj daman-gir kya
kyon KHafa ho meri qismat ki tarah
kuchh kaho to hai meri taqsir kya
le raha hai mahfil-e-dildar mein
shama ke bose lab-e-gul-gir kya
ishq mein ek ghuncha-lab ki kya kahun
chup hun shakl-e-bulbul-e-taswir kya
tir-e-ah-e-shoala-za ke samne
ai sanam buniyaad-e-charKH-e-pir kya
be-takalluf har dahan-e-zaKHm ke
bose leti hai zaban-e-tir kya
haif baDh baDh kar nigah-e-yar mein
ghaT gae hum surat-e-tauqir kya
jald uTha la KHanjar-e-KHun-KHwar ko
qatl mein qatil hai ab taKHir kya
ek yar-e-naujawan ke ishq mein
dekhiye dikhlae charKH-e-pir kya
mere ji uThne ki ai isa-nafas
zehn mein hai aap ke tadbir kya
azm-e-qatl-e-ashiq-e-jaanbaz se
faeda hai ai but-e-be-pir kya
KHana-e-zindan mein mere ashk ki
qadr jaane dida-e-zanjir kya
ai 'shagufta' us but-e-tarrar se
pesh jaegi meri taqdir kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.