puchhta hai mujhse kya ho jaun main
pūchhtā hai mujh se kyā ho jā.ūñ maiñ
ye ishāra hai fanā ho jā.ūñ maiñ
ek rak’at kī nahīñ koī namāz
tū 'atā ho to adā ho jā.ūñ maiñ
imtihāñ le luuñ maiñ sāzindoñ kā kyā
gaate gaate be-surā ho jā.ūñ maiñ
tū kisī kā hai magar hai to vahī
kyā pata phir mubtalā ho jā.ūñ maiñ
us kī pahlī hī nazar hai kīmiyā
dekh le to dūsrā ho jā.ūñ maiñ
soch lo achchhī tarah aisā na ho
intiqāman bā-vafā ho jā.ūñ maiñ
puchhta hai mujh se kya ho jaun main
ye ishaara hai fana ho jaun main
ek rak’at ki nahin koi namaz
tu 'ata ho to ada ho jaun main
imtihan le lun main sazindon ka kya
gate gate be-sura ho jaun main
tu kisi ka hai magar hai to wahi
kya pata phir mubtala ho jaun main
us ki pahli hi nazar hai kimiya
dekh le to dusra ho jaun main
soch lo achchhi tarah aisa na ho
intiqaman ba-wafa ho jaun main
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 104)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.