puchhte hain teri hasrat kya hai
pūchhte haiñ tirī hasrat kyā hai
aaj mujh par ye ināyat kyā hai
kyā kahūñ rang-e-tabī.at kyā hai
ek aafat hai mohabbat kyā hai
zab.h karte ho jo muñh pher ke tum
aisī bhī merī muravvat kyā hai
jis meñ tum ḳhush usī meñ maiñ ḳhush huuñ
ranj kyā chiiz hai rāhat kyā hai
boltī hī nahīñ tasvīr tirī
phir mire jiine kī sūrat kyā hai
kisī āvāra-vatan se pūchho
mehrbāñ-vārī-e-ġhurbat kyā hai
zab.h ke vaqt rukā bhī ḳhanjar
ye na pūchhā tirī hasrat kyā hai
umr guzrī usī ke kūche meñ
ham se pūchho ki mohabbat kyā hai
mai ho sabza ho ghaTā ho tum ho
is se achchhī mujhe jannat kyā hai
ġhair se va.ada lahad par merī
ye qayāmat sar-e-turbat kyā hai
ye to hai ain mohabbat ai dil
un ke shikve kī shikāyat kyā hai
shaiḳh jī roza to din meñ hogā
shab ko piine meñ qabāhat kyā hai
mujh se kahtī hai ye vahshat merī
ghar meñ rahne kī zarūrat kyā hai
bhuul kar bhī na kabhī ye pūchhā
haal bīmār-e-mohabbat kyā hai
ham ne ḳhud piine se tauba kar lī
shaiḳh sāhab kī karāmat kyā hai
sajde kartā huuñ dar-e-jānāñ par
aur ā.īn-e-mohabbat kyā hai
zikr-e-mai aur janāb-e-vā.iz
nahīñ mālūm ki niyyat kyā hai
ek Thokar se uThī hai sau baar
aap ke aage qayāmat kyā hai
jaan hī le ke Talegī 'safdar'
ik balā hai shab-e-furqat kyā hai
puchhte hain teri hasrat kya hai
aaj mujh par ye inayat kya hai
kya kahun rang-e-tabiat kya hai
ek aafat hai mohabbat kya hai
zabh karte ho jo munh pher ke tum
aisi bhi meri murawwat kya hai
jis mein tum KHush usi mein main KHush hun
ranj kya chiz hai rahat kya hai
bolti hi nahin taswir teri
phir mere jine ki surat kya hai
kisi aawara-watan se puchho
mehrban-wari-e-ghurbat kya hai
zabh ke waqt ruka bhi KHanjar
ye na puchha teri hasrat kya hai
umr guzri usi ke kuche mein
hum se puchho ki mohabbat kya hai
mai ho sabza ho ghaTa ho tum ho
is se achchhi mujhe jannat kya hai
ghair se wada lahad par meri
ye qayamat sar-e-turbat kya hai
ye to hai ain mohabbat ai dil
un ke shikwe ki shikayat kya hai
shaiKH ji roza to din mein hoga
shab ko pine mein qabahat kya hai
mujh se kahti hai ye wahshat meri
ghar mein rahne ki zarurat kya hai
bhul kar bhi na kabhi ye puchha
haal bimar-e-mohabbat kya hai
hum ne KHud pine se tauba kar li
shaiKH sahab ki karamat kya hai
sajde karta hun dar-e-jaanan par
aur aain-e-mohabbat kya hai
zikr-e-mai aur janab-e-waiz
nahin malum ki niyyat kya hai
ek Thokar se uThi hai sau bar
aap ke aage qayamat kya hai
jaan hi le ke Talegi 'safdar'
ek bala hai shab-e-furqat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.