puchhte hain tujhko saffaki kahan rah kar mili
pūchhte haiñ tujh ko saffākī kahāñ rah kar milī
ye karāmat bheḌiyoñ ke darmiyāñ rah kar milī
hādsoñ kī zad meñ rahte haiñ zamīn-o-āsmāñ
kaun sī achchhī ḳhabar mujh ko yahāñ rah kar milī
har-nafas mujh ko aziyyat kā safar karnā paḌā
zindagī mujh se hamesha bad-gumāñ rah kar milī
ik tilāvat ne mirī sāñsoñ ko baḳhshā hai davām
zindagī mujh ko sar-e-nok-e-sināñ rah kar milī
ya.anī tere sab sitam mujh par karam sābit hue
ya.anī terī har balā hī mehrbāñ rah kar milī
zahr ik miqdār meñ us ne diyā hai is liye
taqviyat mujh ko hamesha nīm-jāñ rah kar milī
maiñ usī kā markazī kirdār huuñ kyā ilm thā
vo kahānī jo darūn-e-dāstāñ rah kar milī
jo bhī kahte ho utar jaatā hai mere dil meñ 'zeb'
aisī laffāzī batāo to kahāñ rah kar malī
puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili
ye karamat bheDiyon ke darmiyan rah kar mili
hadson ki zad mein rahte hain zamin-o-asman
kaun si achchhi KHabar mujh ko yahan rah kar mili
har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna paDa
zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili
ek tilawat ne meri sanson ko baKHsha hai dawam
zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili
yani tere sab sitam mujh par karam sabit hue
yani teri har bala hi mehrban rah kar mili
zahr ek miqdar mein us ne diya hai is liye
taqwiyat mujh ko hamesha nim-jaan rah kar mili
main usi ka markazi kirdar hun kya ilm tha
wo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili
jo bhi kahte ho utar jata hai mere dil mein 'zeb'
aisi laffazi batao to kahan rah kar mali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.