puchhte ho kya ki kya hai aadmi
pūchhte ho kyā ki kyā hai aadmī
aab miTTī hai havā hai aadmī
fitratan to hai baḌā hī dil-jalā
par mizājan dil-bujhā hai aadmī
gutthiyāñ taqdīr kī suljhā.e kyā
ḳhud hī jab uljhā huā hai aadmī
duur rahne hī meñ samjho āfiyat
ye na bhūlo sar-phirā hai aadmī
ibtidā se umr ke anjām tak
jang apnī laḌ rahā hai aadmī
kar rahā hai zindagī kā ehtisāb
aap apnā aa.ina hai aadmī
laḌ nahīñ saktā vo apne aap se
kitnā bebas ho gayā hai aadmī
puchhte ho kya ki kya hai aadmi
aab miTTi hai hawa hai aadmi
fitratan to hai baDa hi dil-jala
par mizajan dil-bujha hai aadmi
gutthiyan taqdir ki suljhae kya
KHud hi jab uljha hua hai aadmi
dur rahne hi mein samjho aafiyat
ye na bhulo sar-phira hai aadmi
ibtida se umr ke anjam tak
jang apni laD raha hai aadmi
kar raha hai zindagi ka ehtisab
aap apna aaina hai aadmi
laD nahin sakta wo apne aap se
kitna bebas ho gaya hai aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.