puchhte ho mere ashaar mein kya rakkha hai
pūchhte ho mire ash.ār meñ kyā rakkhā hai
ek mahshar hai ki lafzoñ meñ chhupā rakkhā hai
muddateñ ho ga.iiñ dekhe hue ā.īna hameñ
ek tasvīr kī tasvīr meñ kyā rakkhā hai
vahī badle hue tevar vahī kal kā va.ada
is liye ham ne tirā naam ḳhudā rakkhā hai
aaj tak nāḳhun-e-fitrat haiñ lahū se rañgīñ
merī taḳhlīq se hāthoñ ko sajā rakkhā hai
aur kuchh ho ki na ho ghar meñ ujālā to rahe
ik diyā ham ne umīdoñ kā jalā rakkhā hai
puchhte ho mere ashaar mein kya rakkha hai
ek mahshar hai ki lafzon mein chhupa rakkha hai
muddaten ho gain dekhe hue aaina hamein
ek taswir ki taswir mein kya rakkha hai
wahi badle hue tewar wahi kal ka wada
is liye hum ne tera nam KHuda rakkha hai
aaj tak naKHun-e-fitrat hain lahu se rangin
meri taKHliq se hathon ko saja rakkha hai
aur kuchh ho ki na ho ghar mein ujala to rahe
ek diya hum ne umidon ka jala rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.