puchhte kya ho tum aashufta-saron ki haalat
pūchhte kyā ho tum āshufta-saroñ kī hālat
jaise barsāt meñ ho kachche gharoñ kī hālat
tere bīmār kī hālat pe ḳhudā rahm kare
aaj kuchh Thiik nahīñ chāragaroñ kī hālat
sar jhukā dete haiñ chāñdī ke ḳhudā ke aage
ham se pūchhe koī in rāhbaroñ kī hālat
koī kah de na.ī tahzīb ke matvāloñ se
tum se behtar hai mire jānvaroñ kī hālat
merī bhīgī huī āñkhoñ kī na pūchho 'shahzar'
maiñ ne dekhī hai ġharīboñ ke gharoñ kī hālat
puchhte kya ho tum aashufta-saron ki haalat
jaise barsat mein ho kachche gharon ki haalat
tere bimar ki haalat pe KHuda rahm kare
aaj kuchh Thik nahin chaaragaron ki haalat
sar jhuka dete hain chandi ke KHuda ke aage
hum se puchhe koi in rahbaron ki haalat
koi kah de nai tahzib ke matwalon se
tum se behtar hai mere jaanwaron ki haalat
meri bhigi hui aankhon ki na puchho 'shahzar'
main ne dekhi hai gharibon ke gharon ki haalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.