puchhti roz hai show-case ki guDiya mujhse
pūchhtī roz hai show-case kī guḌiyā mujh se
aap ke ghar kā bahal jā.egā bachcha mujh se
nā-tavānī meñ bhī har ghar kā bharam rakhtī huuñ
kahtī rahtī hai ye dīvār-e-shikasta mujh se
aaj us shaḳhs kī sarkār ne gul-poshī kī
mashvara lene jo aatā thā hamesha mujh se
zehn meñ ghūmne lagtī hai ġhulāmī apnī
dekhā jaatā nahīñ piñjre kā parinda mujh se
bāñTnā chāhūñ jo dard apnā to kis se bāñTūñ
milne aatā hī nahīñ koī bhī apnā mujh se
āḳhirī vaqt meñ shal ho ga.e baazū apne
Dal meñ chaltā hī nahīñ aaj shikārā mujh se
merī ġharqābī pe itnā vo pareshāñ kyoñ hai
jab ta'alluq hī nahīñ thā koī us kā mujh se
ye jo sūraj hai chalā aayā hai nīche shāyad
kaan meñ chupke se 'kausar' koī bolā mujh se
puchhti roz hai show-case ki guDiya mujh se
aap ke ghar ka bahal jaega bachcha mujh se
na-tawani mein bhi har ghar ka bharam rakhti hun
kahti rahti hai ye diwar-e-shikasta mujh se
aaj us shaKHs ki sarkar ne gul-poshi ki
mashwara lene jo aata tha hamesha mujh se
zehn mein ghumne lagti hai ghulami apni
dekha jata nahin pinjre ka parinda mujh se
banTna chahun jo dard apna to kis se banTun
milne aata hi nahin koi bhi apna mujh se
aaKHiri waqt mein shal ho gae bazu apne
Dal mein chalta hi nahin aaj shikara mujh se
meri gharqabi pe itna wo pareshan kyon hai
jab ta'alluq hi nahin tha koi us ka mujh se
ye jo suraj hai chala aaya hai niche shayad
kan mein chupke se 'kausar' koi bola mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.