pura lagta hai hamein KHwab hamara hoga
puurā lagtā hai hameñ ḳhvāb hamārā hogā
ham ko ummīd hai kuchh un kā ishāra hogā
jin ke hoñToñ pe hai qurbān ye saarī duniyā
un ke hoñToñ pe kabhī naam hamārā hogā
dekhte haiñ tujhe to sochte haiñ ham aksar
chāñd ko is zamīñ pe kis ne utārā hogā
jo ye uTh jaatā huuñ maiñ raat ko aa.heñ bhar kar
sochtā huuñ tire bin kaise guzārā hogā
tum bhī ik roz chale aao kabhī rātoñ meñ
merī āñkhoñ ko bhī ḳhvāboñ kā sahārā hogā
pura lagta hai hamein KHwab hamara hoga
hum ko ummid hai kuchh un ka ishaara hoga
jin ke honTon pe hai qurban ye sari duniya
un ke honTon pe kabhi nam hamara hoga
dekhte hain tujhe to sochte hain hum aksar
chand ko is zamin pe kis ne utara hoga
jo ye uTh jata hun main raat ko aahen bhar kar
sochta hun tere bin kaise guzara hoga
tum bhi ek roz chale aao kabhi raaton mein
meri aankhon ko bhi KHwabon ka sahaara hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.