pure har shaKHs ke arman nahin hote hain
puure har shaḳhs ke armān nahīñ hote haiñ
itnā māyūs mirī jaan nahīñ hote haiñ
tū pareshāñ hai to ḳhvāboñ meñ basā le mujh ko
ashk āñkhoñ ke nigahbān nahīñ hote haiñ
baat mandir kī ho masjid kī ho gurudvāre kī
log ab sāhib-e-īmān nahīñ hote haiñ
terī qurbat tirī duurī tirī yādoñ kī qasam
ham kabhī be-sar-o-sāmān nahīñ hote haiñ
ghar meñ zinda hī jalā dete haiñ insānoñ ko
ahmadābād meñ shamshān nahīñ hote haiñ
aap se milne kī har lamha tamanna hai magar
aap se milne ke imkān nahīñ hote haiñ
jab bhī ghabrāo kisī ġham se bulā lenā hameñ
apne haiñ apnoñ ke ehsān nahīñ hote haiñ
bhuul bhī jaao vo 'ġhālib' kā zamāna yaaro
zuud kyā log pashemān nahīñ hote haiñ
har qadam soch samajh kar hī baḌhānā 'āzar'
marhale ziist ke āsān nahīñ hote haiñ
pure har shaKHs ke arman nahin hote hain
itna mayus meri jaan nahin hote hain
tu pareshan hai to KHwabon mein basa le mujh ko
ashk aankhon ke nigahban nahin hote hain
baat mandir ki ho masjid ki ho gurudware ki
log ab sahib-e-iman nahin hote hain
teri qurbat teri duri teri yaadon ki qasam
hum kabhi be-sar-o-saman nahin hote hain
ghar mein zinda hi jala dete hain insanon ko
ahmadabaad mein shamshan nahin hote hain
aap se milne ki har lamha tamanna hai magar
aap se milne ke imkan nahin hote hain
jab bhi ghabrao kisi gham se bula lena hamein
apne hain apnon ke ehsan nahin hote hain
bhul bhi jao wo 'ghaalib' ka zamana yaro
zud kya log pasheman nahin hote hain
har qadam soch samajh kar hi baDhana 'azar'
marhale zist ke aasan nahin hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.