puurī huī jo hijr kī mī'ād āvegā
qaid-e-anā se ho ke vo āzād āvegā
us but se jī lagā na lagā kyā mujhe vale
phir kyā karegā jab vo tujhe yaad āvegā
maiñ to karūñ huuñ 'umr bhar ik dasht kā safar
kyā hogā jab vo qarya-e-ābād āvegā
āvegā ik se ek suḳhanvar yahāñ magar
koī bhī 'mīr' jaisā na ustād āvegā
maiñ us ko dekhtā huuñ to aatā hai dhyān meñ
kis kaam us ke ye dil-e-barbād āvegā
maiñ jab kahā ki ġham se tabī'at bahāl hai
bolā vo roz-e-hashr hī tū shaad āvegā
vāqif nahīñ haiñ aable sahrā kī pyaas se
aur sochte haiñ qais pa.e-dād āvegā
bāzār-e-hast-o-būd meñ shīshagarī mirī
koh-e-junūñ bhī sar pe mujhe laad āvegā
puri hui jo hijr ki mi'ad aawega
qaid-e-ana se ho ke wo aazad aawega
us but se ji laga na laga kya mujhe wale
phir kya karega jab wo tujhe yaad aawega
main to karun hun 'umr bhar ek dasht ka safar
kya hoga jab wo qarya-e-abaad aawega
aawega ek se ek suKHanwar yahan magar
koi bhi 'mir' jaisa na ustad aawega
main us ko dekhta hun to aata hai dhyan mein
kis kaam us ke ye dil-e-barbaad aawega
main jab kaha ki gham se tabi'at bahaal hai
bola wo roz-e-hashr hi tu shad aawega
waqif nahin hain aable sahra ki pyas se
aur sochte hain qais pae-dad aawega
bazar-e-hast-o-bud mein shishagari meri
koh-e-junun bhi sar pe mujhe lad aawega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.