puri lagan umang se maine nahin kiya
puurī lagan umang se maiñ ne nahīñ kiyā
koī bhī kaam Dhang se maiñ ne nahīñ kiyā
ujḌā phir ek shoḳh vahāban ke 'ishq meñ
jab mashvara malang se maiñ ne nahīñ kiyā
apne har ek 'ishq meñ sādiq rahūñgā maiñ
āġhāz yūñhī jhang se maiñ ne nahīñ kiyā
apnī ḳhushī se aa.e haiñ bai'at ke vāste
qaa.il kisī ko jang se maiñ ne nahīñ kiyā
mehr-o-vafā se sar kiyā har ek mā'raka
teġh-o-sipar tufang se maiñ ne nahīñ kiyā
shikva kiyā bhī to kiyā pairoñ ke daaġh se
in beḌiyoñ ke zang se maiñ ne nahīñ kiyā
puri lagan umang se main ne nahin kiya
koi bhi kaam Dhang se main ne nahin kiya
ujDa phir ek shoKH wahaban ke 'ishq mein
jab mashwara malang se main ne nahin kiya
apne har ek 'ishq mein sadiq rahunga main
aaghaz yunhi jhang se main ne nahin kiya
apni KHushi se aae hain bai'at ke waste
qail kisi ko jang se main ne nahin kiya
mehr-o-wafa se sar kiya har ek ma'raka
tegh-o-sipar tufang se main ne nahin kiya
shikwa kiya bhi to kiya pairon ke dagh se
in beDiyon ke zang se main ne nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.