pyar ho ya ki na ho shad karunga tujhko
pyaar ho yā ki na ho shaad karūñgā tujh ko
'ishq kī duniyā meñ ābād karūñgā tujh ko
saath rahnā mirī taqdīr meñ likkhā hī nahīñ
duur rah kar bhī bahut yaad karūñgā tujh ko
yuuñ bharosa to nahīñ tujh pe mirī jaañ lekin
qaid se apnī maiñ āzād karūñgā tujh ko
terī yādoñ ko javānī kā sahārā kar ke
haa.e ḳhud sāhib-e-imdād karūñgā tujh ko
qabr par merī kabhī ashk bahā kar jaanā
itnī hī yaar maiñ fariyād karūñgā tujh ko
pyar ho ya ki na ho shad karunga tujh ko
'ishq ki duniya mein aabaad karunga tujh ko
sath rahna meri taqdir mein likkha hi nahin
dur rah kar bhi bahut yaad karunga tujh ko
yun bharosa to nahin tujh pe meri jaan lekin
qaid se apni main aazad karunga tujh ko
teri yaadon ko jawani ka sahaara kar ke
hae KHud sahib-e-imdad karunga tujh ko
qabr par meri kabhi ashk baha kar jaana
itni hi yar main fariyaad karunga tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.