pyar ka dushman sara zamana kal bhi tha aur aaj bhi hai
pyaar kā dushman saarā zamāna kal bhī thā aur aaj bhī hai
dīvānoñ kā mushkil jiinā kal bhī thā aur aaj bhī hai
duniyā badlī mausam badlā lekin merā yaar nahīñ
us ke dil par merā qabza kal bhī thā aur aaj bhī hai
har mushkil hālat meñ dī hai maiñ ne faqat āvāz tujhe
sab se ziyāda tujh pe bharosa kal bhī thā aur aaj bhī hai
mujh ko kabhī jhulsā na sakī ye tanhā.ī aur ġham kī dhuup
mujh par tere pyaar kā saaya kal bhī thā aur aaj bhī hai
mujh se judā ho jaane vaale tujh ko kahāñ maiñ bhuul sakā
mere dil meñ terā Thikāna kal bhī thā aur aaj bhī hai
pyaar ke dushman duniyā se nāpaid hue kab ke lekin
pyaar ke matvāloñ kā charchā kal bhī thā aur aaj bhī hai
ḳhushiyoñ ke jo phuul khile vo pal-do-pal meñ murjhā.e
merā muqaddar taptā sahrā kal bhī thā aur aaj bhī hai
kaun ye kahtā hai vo mujh ko aur maiñ us ko bhuul gayā
ik duuje se apnā rishta kal bhī thā aur aaj bhī hai
merī ijāzat kī kyā hājat jab jī chāhe aa jaanā
tujh pe khulā dil kā darvāza kal bhī thā aur aaj bhī hai
pyaar ke do matvāloñ ko kar denā barbād aur tabāh
'tābish' ye dastūr-e-zamāna kal bhī thā aur aaj bhī hai
pyar ka dushman sara zamana kal bhi tha aur aaj bhi hai
diwanon ka mushkil jina kal bhi tha aur aaj bhi hai
duniya badli mausam badla lekin mera yar nahin
us ke dil par mera qabza kal bhi tha aur aaj bhi hai
har mushkil haalat mein di hai main ne faqat aawaz tujhe
sab se ziyaada tujh pe bharosa kal bhi tha aur aaj bhi hai
mujh ko kabhi jhulsa na saki ye tanhai aur gham ki dhup
mujh par tere pyar ka saya kal bhi tha aur aaj bhi hai
mujh se juda ho jaane wale tujh ko kahan main bhul saka
mere dil mein tera Thikana kal bhi tha aur aaj bhi hai
pyar ke dushman duniya se napaid hue kab ke lekin
pyar ke matwalon ka charcha kal bhi tha aur aaj bhi hai
KHushiyon ke jo phul khile wo pal-do-pal mein murjhae
mera muqaddar tapta sahra kal bhi tha aur aaj bhi hai
kaun ye kahta hai wo mujh ko aur main us ko bhul gaya
ek duje se apna rishta kal bhi tha aur aaj bhi hai
meri ijazat ki kya hajat jab ji chahe aa jaana
tujh pe khula dil ka darwaza kal bhi tha aur aaj bhi hai
pyar ke do matwalon ko kar dena barbaad aur tabah
'tabish' ye dastur-e-zamana kal bhi tha aur aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.