pyar ka KHwab hun khone se bacha le mujhko
pyaar kā ḳhvāb huuñ khone se bachā le mujh ko
terī āñkhoñ ke sivā kaun sañbhāle mujh ko
aaj phir TuuT ke rone kī talab jaagī hai
phir uḌhā pyaar se bāhoñ ke doshāle mujh ko
merī sāñsoñ pe bhī aahoñ kā chalan rahtā hai
bevafā aur na de dardoñ ke chhāle mujh ko
jaltī-bujhtī sī kahīñ lau abhī bhī baaqī thī
kar diyā tez havāoñ ke havāle mujh ko
ḳhvāb sāhil pe udāsī ko piyā karte haiñ
ḳhvāhisheñ Dūbīñ mile ashkoñ ke naale mujh ko
'sārthī' kitnī thī ma.asūm ye hastī terī
ab mahaz ḳhaak hai koī bhī uḌā le mujh ko
pyar ka KHwab hun khone se bacha le mujh ko
teri aankhon ke siwa kaun sanbhaale mujh ko
aaj phir TuT ke rone ki talab jagi hai
phir uDha pyar se bahon ke doshaale mujh ko
meri sanson pe bhi aahon ka chalan rahta hai
bewafa aur na de dardon ke chhaale mujh ko
jalti-bujhti si kahin lau abhi bhi baqi thi
kar diya tez hawaon ke hawale mujh ko
KHwab sahil pe udasi ko piya karte hain
KHwahishen Dubin mile ashkon ke nale mujh ko
'sarthi' kitni thi masum ye hasti teri
ab mahaz KHak hai koi bhi uDa le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.