pyar ka qarz adhura hai chukaun kaise
pyaar kā qarz adhūrā hai chukā.ūñ kaise
tujh se va.ada jo kiyā hai vo nibhā.ūñ kaise
mujh ko pardes liye jaatī hai ye fikr-e-ma.āsh
sochtā huuñ ki tujhe chhoḌ ke jā.ūñ kaise
ab to har ek yahāñ apnī hī dhun meñ hai magan
hāl-e-dil apnā kise aur sunā.ūñ kaise
ek tūfān hai nafrat kā mire chāroñ taraf
pyaar ik kāġhazī kashtī hai bachā.ūñ kaise
ab to aañsū bhī nahīñ haiñ mirī in āñkhoñ meñ
dil meñ jo aag lagī hai vo bujhā.ūñ kaise
ik tirā ġham hī uThāyā nahīñ jaatā mujh se
bojh duniyā kā batā tū hī uThā.ūñ kaise
merī ḳhuddārī ijāzat nahīñ detī 'sāġhar'
sar dar-e-ġhair pe apnā maiñ jhukā.ūñ kaise
pyar ka qarz adhura hai chukaun kaise
tujh se wada jo kiya hai wo nibhaun kaise
mujh ko pardes liye jati hai ye fikr-e-maash
sochta hun ki tujhe chhoD ke jaun kaise
ab to har ek yahan apni hi dhun mein hai magan
haal-e-dil apna kise aur sunaun kaise
ek tufan hai nafrat ka mere chaaron taraf
pyar ek kaghazi kashti hai bachaun kaise
ab to aansu bhi nahin hain meri in aankhon mein
dil mein jo aag lagi hai wo bujhaun kaise
ek tera gham hi uThaya nahin jata mujh se
bojh duniya ka bata tu hi uThaun kaise
meri KHuddari ijazat nahin deti 'saghar'
sar dar-e-ghair pe apna main jhukaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.