pyar ka zamane mein humne ye sila paya
pyar ka zamane mein humne ye sila paya
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
pyaar kā zamāne meñ ham ne ye sila paayā
dostoñ ne luuTā hai zindagī kā sarmāyā
band ho ga.e ham par dostoñ ke darvāze
daur-e-muflisī tū ne aisā din bhī dikhlāyā
maiñ ne ḳhūn-e-dil pī kar zindagī guzārī hai
maiñ ne dast-e-ḳhud-dārī kab kahīñ pe phailāyā
ye to muhsinoñ kā hī iltifāt hai varna
har qadam pe duniyā ne ḳhud-kushī pe uksāyā
aarzū kī nagrī meñ ye hamīñ samajhte haiñ
ham ne dil ko ai 'rāhī' kis tarah se bahlāyā
pyar ka zamane mein hum ne ye sila paya
doston ne luTa hai zindagi ka sarmaya
band ho gae hum par doston ke darwaze
daur-e-muflisi tu ne aisa din bhi dikhlaya
main ne KHun-e-dil pi kar zindagi guzari hai
main ne dast-e-KHud-dari kab kahin pe phailaya
ye to muhsinon ka hi iltifat hai warna
har qadam pe duniya ne KHud-kushi pe uksaya
aarzu ki nagri mein ye hamin samajhte hain
hum ne dil ko ai 'rahi' kis tarah se bahlaya
- Book : سائبان غزل (Pg. 34)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.