pyar ke badle pyar denge mujhe
pyaar ke badle pyaar deñge mujhe
mere apne hī maar deñge mujhe
shauq kis ko hai bojh Dhone kā
aage jā kar utaar deñge mujhe
kaam jin ke nahīñ maiñ ā.ūñgā
gāliyāñ vo hazār deñge mujhe
ek muddat se jeb ḳhālī hai
log kab tak udhār deñge mujhe
maiñ bhī ho jā.ūñgā kisī qābil
tanz un ke nikhār deñge mujhe
ek muddat se un kā naukar huuñ
jaane kab vo pagār deñge mujhe
dost sab mehrbān haiñ mujh par
apnā maarā shikār deñge mujhe
pyar ke badle pyar denge mujhe
mere apne hi mar denge mujhe
shauq kis ko hai bojh Dhone ka
aage ja kar utar denge mujhe
kaam jin ke nahin main aaunga
galiyan wo hazar denge mujhe
ek muddat se jeb KHali hai
log kab tak udhaar denge mujhe
main bhi ho jaunga kisi qabil
tanz un ke nikhaar denge mujhe
ek muddat se un ka naukar hun
jaane kab wo pagar denge mujhe
dost sab mehrban hain mujh par
apna mara shikar denge mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.